Dairy Udyog Me Career Kaise Banaye
Samjhe Dairy Uddyog Ki Barikiya
Milk Utpad Me
America Ke Baad Bharat Dusare Number Par Hain. Is Uddhog Me Rojgar Ki Sambhavna
Khub Hain. Is Kshetra Me N Sirf Aap Naukari Pa Sakte Hain, Balki Svrojgar Bhi
Suru Kar Sakate Hain.
Krishi Ke
Kshetra Me Hi Science Aur Takanik Ka Istemal Nahi Ho Rha Hain, Dairy Uddyog Me
Bhi Technology Ka Istemal Hone Laga Hain. Jaise-2 Dudh Aur Usse Bane Utpado Ki
Mang Baadh Rahi Hain, Is Kshetra Me Expected Ki Mang Badane Lgi Hain,Taki Dudh
Utpad Ke Utpadan Ko Badhaya Ja Sake. Aj Ham Desh Hi Nahi, Balki Desh Ke Bahar
Bhi Gudvaktayukt Dudh V Any Utpad Uplabdh Kara Rahe h. Dairy Industry Ke
Antergart Pashuvo Ki Dekhbhal, Milk Utpad Tatha Any Dairy Products Ka Nirman
Adi Pratikriya Ko Shamil Kiya Jata Hain. Agar Aap Bhi Is Kshetra Me Career Ki
Sambhavna Talash Rahe Hain,To Der N Kare. Bharatiy Arthvyvastha Ke Lihaj Se
Dairy Udyog Industry Ek Mahatpurn Yogdan De Rahi Hain. Bharat Ke Lagbhag Har
Ghar Me Dudh Aur Usse Bane Any Utpado Ka Istemaal Bade Paimane Par Hota Hain.
Iska Sabse Bada Fayada Yah Huaa Ki Kai Badhi Companies Is Field Me Kadam Rakh
Chuki Hain. Multinational Companies Bhi Desh Me Teji Se Aa Rahi Hain. Dairy
Technology Parmparagat Rup Se Veterinari And Animal Husbrandry Se Hi Mel Khata
Hain. Iske Chalate Avasar Bhi Khub Milta Hain Tatha Dudh Ke Utpadan, Usaki
Processing Tatha Quality Control Adi vidhiyo Me Badlav Dekhane Ko Mil Rha Hain.
In Utpado Ko Bade Paimane Par Videsho Me Bhejane Par Videshi Mudra Bharat Me Aa
Rahi Hain. Anek Sansthan And Mahabidayalay Dairy Technology Se Sambhandhit
Course Kara Rahe Hain. Magar Isame Mukhy Rup Se Tin Kshetro Jaise-Dairy
Engineering, Dairy Chemist Tatha Bacteriology Adi Aate Hain. Course Ke Dauran
Chhatro Ko Milk Production, Dairy Inquiment And Utility, Milk Processing And
Packaging, Dairy Products, Insurance, Dairy Management Tatha Marketing Se
Judi Any Jankari Pradan Ki Jati Hain. Ajkal Dairy Sector Me Takaniki Jankariyo
Ko Bhi Jaruri Mana Jata Hain. Isake Chalate Course Ki Mahatta Badhi Hain. Isake
Liye Student Ka 10+12 (PCM) Ki Pariksha 50% Anko Ke Sath Pass Hona Avasayak
Hota Hain. Intermediate Ki Pariksha Me Baithane Vale Student Bhi Isame
Registration Karva Sakate Hain. Isame Science And Agricultural Stream Ke
Students Ko Variyata Di Jati Hain. Iganu Me Dasavi Ke Baad BPP(Bachelor
Pripetary Program) Course Karvaya Jata Hain. Usake Pashchat Students Diploma
Course Ke Liye Yogy Ho Jate Hain. Isame Pravesh Ke Liye All India Entrance Test
Hota Hain.
Main Institute Of Course
Indira Gandhi
National Open University
www.ignou.ac.in
National Dairy
Research Institute, Hariyana
www.ndri.res.in
Allahabad
Agricultural Institute
www.aaidu.org
Anand
Agriculture University, Gujrat
www.aau.in
Akade Bolte Hain
1.59 Lakh
Million Tak Pahuch Gaya Hain Dudh Ka Karobar
42,680 Million
Rupaye Hain Present Time Me Ghee Ka Market
Dairy
Technologist, Supervisor, Consultant, Engineer, Scientist, Researcher,
Teaching, Plant Manager Ka Milta Hain Kam.
50500 Million
Rupaye Tak Pahuch Chuka Hain Bharat Me Paneer Ka Karobar.
3100 Million
Rupaye Hain Bharat Me Dudh Power Ka Karobar.
2020 Tak 30 Se
35 Pratisat Hoga Worlds Milk Utpad Me Bharat Ka Hissa.
Business Ka Bhi Vikalp
Career
Councelor Kahate Hain, Yah Ek Sadabahar Kshetra Hain. Bharat Me Dairy Ke
Kshetra Me Lagatar Vistar Ho Raha Hain, Isliye Yaha Visheshagyayo Ki Mang Badh
Rahi Hain. Private Sector Me Bhi Naukari Ki Sambhavnaye Kam Nahi Hain. Yadi
Student Ne Gambhirpurak Course Kiya Hain , To Is Sector Me Use Jobs N Mil Pane
Ke Karan Nirash Hokar Nahi Baithana Padhega Course Ke Baad Adhikansh Naukariya
Dairy Plant Me Hi Multi Hain. Is Kshetra Me Jobs Ke Alawa Swarojgar Ke Bhi
Bharpur Avasar Milate Hain. Ladkiyo Ke Liye Bhi Is Kshetra Me Kafi Mauke Hain.
Dairy Technology Ke Kshetra Me Diploma In Dairy Technology, B.Sc In Dairy
Technology, B.tech In Dairy Technology, M.tech In Dairy Technology M.Sc In
Dairy Technology Ki Padhai Ki Ja Sakati Hain. Kisi Bhi Manyata Prapt Institute
Se Yah Course Kar Sakate Hain.
0 comments:
एक टिप्पणी भेजें
Thanks You Guys
Please Share This Link