Universe( Brahmand) Me Career Kaise Banaye?
Season(Mausam),
Planet-Satellite(Grah-Upgrah), Vayumandal Athava Earth Ki Halchal Ke Bare Me
Pata Lagana Satellite Technology Aur Satellite Communication Ka Hissa Hain. Hal
Ke Dino Me Is Kshetra Me Career Ki Smbhavnaye Paida Hui Hain.
Satellite
Technology Ya Satellite Communication Space Science Se Juda Ek Chunaitipurn
Kshetra Hain, Jisake Andar Universe Ki Duniya Ka Gahanta Se Adhyan Kiya Jata
Hain. Satellite Technology Ki Badaulat Hi Mausam Athava Planet-Satellite Ki
Chal Ke Bare Me Satik Suchana De Pana Sambhav Hota Hain. Vayumandal Athava
Earth Ki Halchal Ka Pata Bhi Satellite Technology Ke Dwara Hota Hain. Sal Dar
Sal Satellite Technology Aur Communication Ke Kshetra Me Naye Prayog Ho Rhe
Hain Aur Sath Hi Naye Satellite Sthapit Kiye Ja Rhe Hain. Yahi Vajah Hain Ki
Bite Kuchh Salo Me Yah Kshetra Career Ke Pramukh Courses Me Samil Ho Gya Hain.
Rahasyo(Mystery)
Bhare Is Romanchak Career Ki Taraf Yuvavo K Rujhan Badh Rha Hain. Is Kam We Jude
Professional Space Scientist Kahlate Hain. Industry Ke Jankaro Ka Bhi
Manana Hain Ki Ane Wale Panch Salo Me Isme Naukariyo Ki Sankhya Badhegi.
Satellite Communication We Jude Course Ka Jaha Tak Swal Hain, To Is Kshetra Me
B.Tech, B.Sc, M.Tech, M.Sc, ME Aur PHD Ke Mauke Milte H. Bachelor Course Me
Pravesh Tabhi Mil Pagega, Jab Chhatra Ne Barhavi Ki Pariksha Science Vishay Ke
Sath(Physics, Chemistry V Mathmetics) Pass Ki Ho.
Isme All India
Level Par Ek Pravesh Pariksha Ka Ayojan Kiya Jata Hain. Isame Safal Hone Ka
Baad Hi Bachelor Program Me B.Tech V B.Sc Ke Baad Dakhila Milta Hain.Yahi
Chhatra Kisi Kshetra Me Visheshgyata Hasil Karana Chahate Hain To Unhe PHD Ki
Degree Leni Anivary Hain. Safaltapuravak Course Karane Ke Baad Is Kshetra Me
Rojgar Ke Liye Bhatkana Nahi Padata Hain.
Professionals
Ko National Aironotics And Space Administration(NASA), Indian Space Research
Organization(ISRO), Defence Research And Development Organization(DRDO),
Hindustan Aiyronotics Limited (HAL), National Aironotics Laboratory(NAL) Adi Me
Pramukh par Kam Milta Hain. Iske Alawa Spacecraft Software Developing Firm,
Research And Development Center, Spacecraft Manufacturering Firm, Space Tourism
Me Bhi Rojgar Bahut Hain.
Main Institute Of Course
Indian
Institute Of Space Science And Technology, Tiruvanpuram
Www.iist.ac.in
Birala
Institute Of Technology Mesra, Ranchi
www.bitmesra.ac.in
Indian
Institute Of Science, Bangluru
www.iisc.ernet.in
Tata Institute
Of Development Research, Mumbai
Www.univ.tifr.res.in
National
Institute Of Science Education And Research, Bhumneshvar
www.miser.ac.in
Is Kshetra Me
Ane Ke Liye Science Subjects, Khaskar Physics Ka Behatar Gyan Hone Jaruri Hain.
Computer Ki Achchhi Jankari V Engineer Ke Basics Par Majubur Pakad Kafi
Age Tak Le Jati Hain.Communication V Writing Skill, Presentation Taiyar Karane
Ka Skill Har Mode Par Sahayata Dikhata Hain. Isake Alawa Professionals Ko
Parishmi, Dhairyvan V Jigyasu Pravriti Ka Banana Hoga, Kyuki Isse Sambandhit
Adhikansh Kam Research Aur Ankalan Par Adharit Hote Hain. Yaha Salary Kafi
Akaraha Hain. Amtaur Par Suruaati Daur Me 25-30 Hajar Rupaye Pratimah Milate
Hain, Jabki Do-Tin Sal Ke Anubhav Ke Baad Yao Rashi 40-50 Hajar Ho Jati Ya
Pahuch Jati Hain. Research Ke Kshetra Me Aaj Kai Aise Scientist Hain, Jo Salana
Lakho Ke Package Par Apni Savaye De Rahe Hain. Videsho Me Bhi Professionals Ko
Akarshit Package Diya Jata Hain.
Akade Bolte Hain
20-30 Hajar
Rupaye Hoti Hain Shuruaati Salary
05 Salo Me Is
Kshetra Me Badhegi Sambhavnaye
Scientist,
Astronomer, Astrophysics, Maiteeiologisc, Radar Technician, Satellite
Technician, Geologist Ke Rup Me Milte Hain Mauke.
0 comments:
एक टिप्पणी भेजें
Thanks You Guys
Please Share This Link