Rye Bread Or Multigrain Bread Kya Adhik Faydemand Hain?
Yadi Aap Subah
Ke Samay Nashte Me Jyadatar Bread Khate Hain, To Iska Chunav Soch-Samjhkar
Kare. Market Me Rye Aur Multigrain Bread Bhi Maujud Hain.
According To
Research
- 1. 83 Calories Hoti Hain Rye Bread Ke Ek Slice Me,Jabki Multigrain Bread Ke Slice Me Sirf 69 Calories Hoti Hain.
- 2. 1.9 Gram Dietary Fiever Maujud Hota Hain Dono Ke Ek-Ek Slice Me. Womans Ko Isaki Ek Din Me 25 Gram Ki Jarurat Hoti Hain.
Bread To
Lagbhag Ham Sabhi Khate Hain. Koi Rye Bread Khata Hain, To Multigrain Yukt
Bread Ko Sehat Ke Liye Achha Manata Hain. Lekin Kya Aap Jante Hain Ki Kaun Si
Bread Apke Liye Kitani Faydemand Hain? Rye Bread Ke Ek Slice Me Lagbhag 83
Calories Hoti Hain. Vahi Dusari Oar Multigrain Bread Ke Ek Slice Me 69 Calories
Hi Hoti Hain. Sath Hi Rye Bread Ke Ek Slice Me 2.7 Gram Protein Hota Hain, Jo
Ki Ek Mahila Ke Liye Nirdeshit 46 Gram Ka Chha Pratishat Aur Purusho Ke Liye
Nirdeshit 56 Gram Ka Panch Pratishat Hota Hain. Jabki Multigrain Bread Ke Ek
Slice Me 3.5 Gram Protein Hota Hain. Fiever Ki Bat Ki Jaye, To Dono Ke Hi Ek
Slice Me 1.9 Gram Dietary Fiever Hota Hain. Jisaki Mahilao Ko Ek Din Me
25 Gram Jarurat Hoti Hain Aur Ek Slice Se Eight Pratishat Purti Ho Jati Hain.
Fiever Ki Sahi Matra Lene Se Pachan Tantra Sucharu Rup Se Kam Karata Hain. Sath
Hi Fiever Chlostrale Kam Rakhane Me Bhi Sahayata Karata Hain.Baat Agar
Nutrients Ki Ho, To Rye Bread Ki Ek Slice Se 0.91 Milligram Iraon, Jo Ki Ek
Person Ki Eight Gram Avashykata Ke Lihaj Se 11% Hain. Vahi Womans Ki 18
Milligram Ki Avshayakata Ke Hisab Se Five Percent Hain. Rye Aur Multigrain
Bread Ek Milligram Niyasin Ki Purti Karata Hain, Jo Ki Health Dermis Ke Liye
Faydemand Hain. Dono Bread Me Thoda Folet Aur Kuchh Vitamins Bhi Paye Jate
Hain, Jo Ki Badhati Age Ke Prabhav Ko Kam Karta Hain.
0 comments:
एक टिप्पणी भेजें
Thanks You Guys
Please Share This Link